Fir se ek baar dil me tera hone ki tamanna hai
Tumhare hi khayalo’n me khone ki tamanna hai
Muddat se in aankho’n me tarawish nahi jhalki,
Aakar fir se rula jao, ke fir rone ki tamanna hai
…
Fir is dil-a-nada’n me, dard ki hawas jaagi hai,
Tasbeeh-a-hayat me azeeyat pirone ki tamanna hai
Khuda ka wasta, tum mujhpe koi reham na karna,
Fir dil ko ghamo’n ka bojh dhone ki tamanna hai
Main hansta khelta aayine ko bhi achha nahi lagta,
Aankho’n ko ashko’n se ab bhigone ki tamanna hai
Humare dil se fir khelo aur fir todkar chal do Karan,
Gar tumko apne is pasandida khilone ki tamanna hai
Comments
Post a Comment